Default
Warm
Nature

Lord Krishna - Kanha Re Thoda Sa Pyar De

krishna-radha
Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Me Baitha Ke Taar De, O Gauri Ghunghat Ughad De, Prem Ki Bhiksha Jholi Mein Daal De ॥ Prem Gali Mein Aake Gujariya, Bhool Gai Re Ghar Ki Dagariya, Jab Tak Sadhan, Tan, Man, Jeevan, Sab Tujhe Arpan, Pyare Sanwariya, ॥ Maya Ka Tumne Rang Aisa Daala, Bandhan Me Bandh Gaya Bandhne Wala, Kaun Ramapati Kaisa Ishwar, Main to Hoon Gokul Ka Gwala, Gwala Re Thoda Sa Pyaar De, Gwalin Ka Jeevan Savaar De ॥ Aatma-parmatma Ke, Milan Ka Madhu Maas Hai, Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai Tribhuvan Ka Swami, Bhakton Ka Daas Hai, Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai, Krishn Kamal Hai, Radhe Suvaas Hai, Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maharaas Hai Iske Avlokan Ki Yug Yug Ko Pyaas Hai, Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai ॥ Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Me Baitha Ke Taar De ॥ Tu Jhootha, Vachan Tere Jhoothe, Muska Ke Bholi Radha Ko Loote, Mai Bhi Hu Sachcha, Vachan Mere Sachche, Preet Meri Pakki, Tumare Man Kachche ॥ Jaise Tu Rakhen, Vaise Rahungi, Dungi Pariksha Peed Sahungi, Swargon Ke Sukh Bhi Mithe Na Laage, Tu Mil Jaye to Moksh Nahi Mange Kanha Re Thoda Sa Pyar De, Charno Me Baitha Ke Taar De ॥ Srishti Ke Kan Kan Mai Iska Aabhaas Hai, Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai Ho Taaro Mai Nartan, Phulon Mai Ulhas Hai Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai Murali Ki Pratidhvani, Dishao Ke Paas Hai Yahi Maharaas Hai, Yahi Maha Raas Hai Ho Adhyatmik Chetna Ka Saame Vikas Hai Yahi Maha Raas Hai, Yahi Maha Raas Hai ॥
Disclaimer: The accuracy or reliability of any information/content/calculations contained in this article is not guaranteed. This information has been collected from various mediums/astrologers/almanac/sermons/beliefs/religious scriptures and presented to you. Our aim is only to provide information, its users should consider it as mere information. Additionally, the responsibility for any use remains that of the user himself.

Popular Tags

Durga Mata Bhajans and Songs | Worship of Mother Shakti Bhajans and devotional songs collection Krishna Bhajans and Songs | Radha-Krishna Devotional Music Collection Hanuman Bhajans and Songs | Bajrangbali Collection Ram Bhajans and Songs | Collection of praises of Lord Shri Ram